• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Soch Rahi Hun

Soch Rahi Hun

maimoona-abbas-khan

gungi hoti hui khamoshi

sannate ki dahliz pakad kar

jaane kab tak jami rahegi

main vo lafz hi bhuul aai huun

raste men hi gira aai huun

jo tum se milne aae the

jante ho tum

lafz miri dhadkan the us pal

siine men ik hashr bapa tha

surkhi ka pairahan odhe

mere sajile lafz vo saare

sapnon ke rangin mahal men

rahne ko be-tab bahut the

tum shayad kuchh kah do un se

ik maasum si khvahish le kar

paas tumhare aa baithe the

lekin

tum ne jaan hi le li un ki

jite-jagte lafz vo saare

zard pade bas takte rah gae

aur phir is par

sard barf sa lahja tumhara

lafz to jaise marne lage the

dil ki dhadkan ruk si gai thi

sard padti vo lashen un ki

jis pal main ne sameti thiin

viran hote siine men

un ki qabren khodi thiin

aur unhen dafnaya tha

jis siine men hashr bapa tha

ab sannate gunjte hain

main chup le kar aai huun

rose larazte hathon se

ashkon men ik bhigi hui

chadar un pe chadhati huun

soch rahi huun

gungi hoti hui khamoshi

sannate ki dahliz pakad kar

jaane kab tak jami rahegi

Filed Under: Nazm Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Sheikh Saadi

Story 18 – The Manners Of Kings – Gulistaan-e-Sa.Adii

Jo zaKHm Lage Hain Mere Dil Par Nahin Dekha

ahmad-khayal

Koi An-dekhi Faza Taswir Karna Chahiye

Haram Ka Aaina Barson Se Dhundla Bhi Hai Hairan Bhi

Sufi

Bosa-e-Rukh Ka Jo Main Sail Hua

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet