hashr par vaada-e-didar hai kis ka tera
laakh inkar ik iqrar hai kis ka tera
na dava se use matlab na shifa se sarokar
aise aram men bimar hai kis ka tera
laakh parde men nihan shakl hai kis ki teri
jalva har shai se numudar hai kis ka tera
aur pamal-e-sitam kaun hai tu hai ‘bekhud’
us sitamgar se sarokar hai kis ka tera
Leave a Reply