so ke jab vo nigar uthta hai
misl-e-abr-e-bahar uthta hai
teri ankhon ke asare ke baghair
kab gham-e-rozgar uthta hai
do ghadi aur dil lubhata ja
kyuun khafa ho ke yaar uthta hai
aise jaati hai zindagi ki umiid
jaise pahlu se yaar uthta hai
zindagi shirkaton se chalti hai
kis se tanha ye baar uthta hai
jo bhi uthta hai us ki mahfil se
khasta o dil-figar uthta hai
aaj ki raat khair se guzre
dard-e-dil baar baar uthta hai
aao kuchh zindagi ke naaz sahen
kis se tanha ye baar uthta hai
hosh men ho to mai-kade se ‘adam’
kab koi bada-khvar uthta hai
Leave a Reply