• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Jab Sar-E-Baam Wo KHurshid-Jamal Aata Hai

Jab Sar-E-Baam Wo KHurshid-Jamal Aata Hai

jab sar-e-bam vo ḳhurshid-jamal aata hai

zarre zarre pe qayamat ka jalal aata hai

phuul muskate hain lahrati hai Tahni Tahni

fasl-e-gul aate hi har shai pe jamal aata hai

vo janam-din pe bulate hain hamesha mujh ko

har naya saal ba-andaz-e-visal aata hai

kyuun tire honT mujhe dete hain manfi men javab

mere honTon pe ye rah rah ke saval aata hai

jab savali koi aa jaata hai dar par to mujhe

us ki baḳhshi hui ne.amat ka ḳhayal aata hai

un ke khilte hue joban ko vo murjha na saka

aane ko daur-e-ḳhizan sal-ba-sal aata hai

mujhe jachti hi nahin aur kisi ki surat

jab ḳhayal aata hai tera hi ḳhayal aata hai

taare ginvati hain phir hijr ki kaali raten

jab mujhe yaad koi zohra-jamal aata hai

yuun ruḳh-e-zard chamak uThta hai aane pe tire

jaise holi men koi mal ke gulal aata hai

apne hathon ke pale log jo ho jaa.en ḳhilaf

un ke aḳhlaq pe ai ‘charḳh’ malal aata hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

insha-allah-khan-insha

Bandagi Humne To Ji Se Apni Thani Aap Ki

anjum-rehbar

Ye Kisi Nam Ka Nahin Hota

poet

Girdab-E-Reg-E-Jaan Se Mauj-E-Sarab Tak

Na Guman Rahne Diya Hai Na Yaqin Rahne Diya

Bashar Ki Zat Ko Gham Se Kahan Mafar Hai Miyan

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet