• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Apni Hasti Ka Agar Husn Numayan Ho Jae

Apni Hasti Ka Agar Husn Numayan Ho Jae

Bedam Shah Warsi

apni hasti ka agar husn numayan ho jaae

aadmi kasrat-e-anvar se hairan ho jaae

tum jo chaho to mire dard ka darman ho jaae

varna mushkil hai ki mushkil miri asan ho jaae

o namak-pash tujhe apni malahat ki qasam

baat to jab hai ki har zakhm namakdan ho jaae

dene vaale tujhe dena hai to itna de de

ki mujhe shikva-e-kotahi-e-daman ho jaae

us siyah-bakht ki raten bhi koi raten hain

khvab-e-rahat bhi jise khvab-e-pareshan ho jaae

sina-e-shibli-o-mansur to phunka tu ne

is taraf bhi karam ai jumbish-e-daman ho jaae

akhiri saans bane zamzama-e-hu apna

saz-e-mizrab-e-fana tar-e-rag-e-jan ho jaae

tu jo asrar-e-haqiqat kahin zahir kar de

abhi ‘bedam’ rasan-o-dar ka saman ho jaae

Filed Under: Ghazal Tagged With: Sufi Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Ulfat Ka Anjam Bura Hai

ahmad-rizwan

Aata Hi Nahin Hone Ka Yaqin Kya Baat Karun

abbas-tabish

Aise To Koi Tark Sukunat Nahin Karta

KHarab-O-KHasta Hue KHak Mein Shabab Mila

Bujh Gae Manzar Ufuq Par Har Nishan Maddham Hua

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet