mahrumi ke dukh aur tanha.i ke ranj uTha.e
lekin ham ko aaj bhi jhuTa pyaar na karna aa.e
sail-e-gham-e-duniya ne dil se kya kya naqsh miTa.e
hijr ki raton men ab teri shakl bhi yaad na aa.e
tanha.i ka sannaTa aur aati jaati raten
teri yaad na aur koi gham phir bhi niind na aa.e
tere ma.asumana pyaar ki daulat pa kar ham ne
akasr naaz kiya hai lekin kabhi kabhi pachhta.e
pyasi kaliyan paani ke qatre qatre ko tarsen
aur karam ka badal dariyaon pe barasta jaa.e
Leave a Reply