bad-zan hain ahl-e-kaaba mujh dair-ashna se
kahte hain mujh ko kafir fariyad hai khuda se
bedad mohtasib ki fariyad hai khuda se
barse sharab ghar ghar mai-khvar ki dua se
chitvan badal rahi hai naam aa gaya vafa ka
tevar bigad rahe hain afsana-e-vafa se
ham kyuun tumhen bataen ham kyuun tumhen jataen
roz-e-jaza na jaane mangenge kya khuda se
vo puchhte hain mujh se kaise ho tum ‘mubarak’
main kah raha huun achchha sarkar ki dua se
Leave a Reply