so ja.un par kaise soya ja sakta hai
us ko band ankhon se dekha ja sakta hai
paani par tasvir bana.i ja sakti hai
us ka naam hava par likkha ja sakta hai
ab main jitni chahun ḳhaak uḌa sakta huun
jitna chahun utna roya ja sakta hai
sada-dil dehati tha so maan gaya main
halanki us ghar tak rickshaw ja sakta hai
kya ham pahle jaise bhaa.i ban sakte hain
ik chulhe par baiTh ke khaya ja sakta hai
Leave a Reply