main fat.h-e-zat manzar tak na pahuncha
mira tesha mire sar tak na pahuncha
use memar likkha bastiyon ne
ki jo pahle hi patthar tak na pahuncha
tijarat dil ki dhadkan gin rahi hai
taalluq lutf-e-manzar tak na pahuncha
shagufta gaal tikhe khat ka mausam
dobara nakhl-e-paikar tak na pahuncha
bahut chhota safar tha zindagi ka
main apne ghar ke andar tak na pahuncha
ye kaisa pyaas ka mausam hai ‘ahmad’
samundar dida-e-tar tak na pahuncha
Leave a Reply