siyah-ḳhana-e-dil par nazar bhi karta hai
meri ḳhataon ko vo darguzar bhi karta hai
parind unchi uḌanon ki dhun men rahta hai
magar zamin ki hadon men basar bhi karta hai
tamam umr ke dariya ko moḌ deta hai
vo ek harf jo dil par asar bhi karta hai
vo log jin ki zamana hansi uḌata hai
ik umr ba.ad unhen mo’tabar bhi karta hai
jala ke dasht-e-talab men ummid ki sham.en
aziyyaton se hamen be-ḳhabar bhi karta hai
Leave a Reply