sitamgaron se Darun chup rahun nibah karun
ḳhuda vo vaqt na laa.e main ye gunah karun
miri nazar men ana ke sharar salamat hain
inhen bujha.un to tazim kam-nigah karun
miri zaban ko saliqa nahin guzarish ka
main apne haq se ziyada na koi chaah karun
pahaḌ mere tahavvur ka isti.ara hai
main pastiyon se bhala kaise rasm-o-rah karun
masaf-e-zist men mujh ko bas agahi de do
haram hai jo talab phir koi sipah karun
kisi ko ḳhauf-e-salasil kisi ko hirs-e-karam
main apne haq men ḳhudaya kise gavah karun
sitam to ye hai ki fauj-e-sitam men bhi ‘anjum’
bas apne log hi dekhun jidhar nigah karun
Leave a Reply