hameñ har saañs dushvārī lage hai
magar ye zindagī pyārī lage hai
tumheñ dhokā sahar kā hai to hogā
hameñ to raat añdhiyārī lage hai
mire malbūs par chhīñTe lahū ke
tire dāman kī gul-kārī lage hai
zabāñ shāyad yahī shorafā kī Thahre
tumheñ jo aaj bāzārī lage hai
vafā kyā hai ye tum us dil se pūchho
ki jis dil ko ye bīmārī lage hai
mire qātil ko yārab hausla de
mujhe kāñdhoñ pe sar bhārī lage hai
ġhazal ‘asrār’ hotī hai mukammal
ki dil par choT jab kaarī lage hai