balva.iyon ka jis pe yahan kuchh asar na tha
vo ghar amir-e-shahr ka tha mera ghar na tha
tahzib-o-ilm-o-fan ki taraqqi ki raah men
mere alava aur koi rahbar na tha
main bhi kahin kahin raha ra.ana.iyon se duur
tu bhi kahin kahin pe sharik-e-safar na tha
taaza ḳhabar men ham ne paḌha hai ye dosto
barish thi pattharon ki magar zaḳhm-e-sar na tha
samjha tha rahnuma.i karega miri magar
suraj bhi tirgi men sharik-e-safar na tha
‘nusrat’ na jaane kyuun use aaya na kuchh ḳhayal
halanki mere haal se vo be-ḳhabar na tha
Leave a Reply