sirf tera naam le kar rah gaya
aaj divana bahut kuchh kah gaya
kya miri taqdir men manzil nahin
fasla kyuun muskura kar rah gaya
zindagi duniya men aisa ashk thi
jo zara palkon pe thahra bah gaya
aur kya tha us ki pursish ka javab
apne hi aansu chhupa kar rah gaya
us se puchh ai kamyab-e-zindagi
jis ka afsana adhura rah gaya
haae kya divangi thi ai ‘vasim’
jo na kahna chahiye tha kah gaya
Leave a Reply