simTun kahan se sat.h pe dariya ravan nahin
uThta kahan se mauj men tab-o-tavan nahin
thamta nafas nafas ke ishare qadam qadam
dauḌun main kaise paanv men reg-e-ravan nahin
pursan-e-shab sitare nahin hain sar-e-falak
shorida-sar ḳhalaon bhara asman nahin
ik ranj-e-be-kanar tamavvuj-talab kahan
ik lutf-e-be-baha sar-e-daman giran nahin
kya kahiye lams-ha-e-ḳharabi ka intishar
nazron men ab zamin nahin asman nahin
aalam pe laḳht laḳht paḌe raushni ka bojh
avara-pa bhi shaki-e-zulmat-fashan nahin
phir dasht-e-la-makan men sada-e-jaras kahan
phir musht-e-ḳhak la.eq-e-sad-imtihan nahin
Leave a Reply