visal-rut ki ye pahli dastak hi sarzanish hai
ki hijr-mausam ne raste raste safar ka aghaz kar diya hai
tumhare hathon ka lams jab bhi miri vafa ki hatheliyon par hina banega
to soch lungi
rafaqaton ka sunahra suraj ghurub ke imtihan men hai
hamare baghon se gar kabhi titliyon ki khushbu guzar na paae to ye na kahna
ki titliyon ne gulab-raste badal liye hain
agar koi shaam yuun bhi aae ki jis men ham tum lagen parae
to jaan lena
ki shaam be-bas thi shab ki tarikiyon ke hathon
tumhari khvahish ki mutthiyan be-dhiyaniyon men kabhi khulen to yaqin karna
ki meri chahat ke jugnuon ne
tumhare hathon ke lams-e-taza ki khvahishon men
bade ghanere andhere kaate
magar ye khadshe, ye vasvase to takallufan hain
jo be-irada safar pe niklen
to ye to hota hai ye to hoga
ham apne jazbon ko munjamid raeganiyon ke supurd kar ke
ye soch lenge
ki hijr-emausam to vasl ki pahli shaam se hi
safar ka aghaz kar chuka tha
Leave a Reply