shukriya hasti kaa! lekin tum ne ye kya kar diya
parde hi parde men apna raaz ifsha kar diya
maang kar ham laa.e the allah se ik dard-e-ishq
vo bhi ab taqdir ne auron ka hissa kar diya
do hi angare the hathon men ḳhuda-e-ishq ke
ek ko dil ek ko mera kaleja kar diya
jab tajalli un ki barq-arzaniyon par aa ga.i
aable se dil ke paida tur-e-sina kar diya
apni is varaftagi-e-shauq ka mamnun huun
bar-ha mujh ko bhari mahfil men tanha kar diya
vaqi.at-e-ishq ka tha lamha lamha ik sadi
har nafas men main ne ik arman puura kar diya
marhamat farma ke ai ‘simab’ gham ki lazzaten
ziist ki talḳhi ko fitrat ne gavara kar diya
Leave a Reply