Ishq Saman Bhi Hai Be-Sar-O-Samani Bhi

ishq sāmān bhī hai be-sar-o-sāmānī bhī

usī darvesh ke qadmoñ meñ hai sultānī bhī

ham bhī vaise na rahe dasht bhī vaisā na rahā

umr ke saath hī Dhalne lagī vīrānī bhī

vo jo barbād hue the tire hāthoñ vahī log

dam-ba-ḳhud dekh rahe haiñ tirī hairānī bhī

āḳhir ik roz utarnī hai libādoñ kī tarah

tan-e-malbūs! ye pahnī huī uryānī bhī

ye jo maiñ itnī sahūlat se tujhe chāhtā huuñ

dost ik umr meñ miltī hai ye āsānī bhī

Leave a Comment