shukr us ne kiya lab pe magar naam na aaya
marna bhi mira haae mire kaam na aaya
allah shab-e-hijr phir aisi na dikhae
ghadiyon to mujhe yaad tira naam na aaya
ye tarz-e-jafa kis sikhai thi sitam-gar
sau zulm hue ek bhi ilzam na aaya
but-khana to but-khana hai allah-ri qismat
kaaba se bhi ‘mail’ kabhi nakam na aaya
Leave a Reply