shoḳhiyan mujh pe kyuun ashkara nahin
kya mira dil mohabbat ka maara nahin
kya koi aisa lamha bhi guzra hai jab
shisha-e-dil men tujh ko utara nahin
ik zamana hua ansuon ke bina
raat kaaTi nahin din guzara nahin
shauq se ishq ka imtihan lijiye
aaj bhi main thaka aur haara nahin
thamte hi kala.i vo kahne lage
ab ḳhudara nahin ab ḳhudara nahin
shaam hi se andhera hai charon taraf
aisa lagta hai ye ghar hamara nahin
is sulagti si duniya men ‘tashna’ koi
kaash kahta ki vo gham ka maara nahin
Leave a Reply