• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ye Kaisa Shahr Hai Main Kis Ajaib-Ghar Mein Rahta Hun

Ye Kaisa Shahr Hai Main Kis Ajaib-Ghar Mein Rahta Hun

ye kaisa shahr hai main kis aja.ib-ghar men rahta huun

main kis ki aankh ka paani huun kis patthar men rahta huun

vo ḳhushbu is ta.alluq se bahut bechain si hogi

main kanTa tha magar ik phuul ke bistar men rahta huun

use ik din yahi ḳhana-badoshi ḳhud bata.egi

main apne ghar men rahta huun ki us ke ghar men rahta huun

agar mohlat mile to qatilan-e-shahr se puchhun

main kis ki jaan huun kyuun sina-e-ḳhanjar men rahta huun

mujhe ye be-panahi kab tira rasta dikha.egi

tiri avaz huun aur gumbad-e-be-dar men rahta huun

ye sab ḳhush-posh chehre ho chuke hain munkashif mujh par

main un ke darmiyan kyuun jama-e-mahshar men rahta huun

ḳhudi kya chiiz hai ‘ḳhurshid-akbar’ aur ḳhuda kya hai

kahun main kis zaban se dast-e-ahan-gar men rahta huun

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

parveen-shakir

Bakht Se Koi Shikayat Hai Na Aflak Se Hai

Tamasha Ek Anokha Sa Dikhana

Jahan-Bhar Se Na Yun Mera Tazkira Kije

meer-hasan

Jab Talak Tir Tera Aawe Hai Nakhchir Talak

Sufi

dil Tha Ki Gham-e-Jaan Tha

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet