hai kaam ke vaqt kaam achchha
aur khel ke vaqt khel zeba
jab kaam ka vaqt ho karo kaam
bhule se bhi khel ka na lo naam
haan khel ke vaqt khuub khelo
kuudo phando ki dand pelo
khush rahne ka hai yahi tariqa
har baat ka sikhiye saliqa
himmat ko na hariyo khuda-ra
mat dhundiyo ghair ka sahara
apni himmat se kaam karna
mushkil ho to chahiye na darna
jo kuchh ho so apne dam qadam se
kya kaam hai ghair ke karam se
mat chhodiyo kaam ko adhura
be-kar hai jo hua na puura
har vaqt main sirf ek hi kaam
pa sakta hai behtari se anjam
jab kaam men kaam aur chheda
donon hi men pad gaya bakheda
jo vaqt guzar gaya akarat
afsos! hua khazana gharat
hai kaam ke vaqt kaam achchha
aur khel ke vaqt khel zeba
Leave a Reply