shikast kha ke tere gham se kamyab hua
dil us maqam pe Duuba ki aftab hua
sukun-e-shauq-e-mubaddal ba-iztirab hua
kisi ne parda kiya aur main be-naqab hua
tiri nazar hi to mahfil ki jaan hai saaqi
nigah tu ne uTha.i ki inqalab hua
miri jabin ko dam-e-naz.a chumne vaale
ghurub hone laga main to aftab hua
ḳhushi ka koi natija na gham ka kuchh hasil
ye zindagi na hui zindagi ka ḳhvab hua
na raas aa.i mujhe zahmat-e-tulu-o-ghurub
main zindagi men ka.i baar aftab hua
kali ko phuul to bante sabhi ne dekha hai
kisi ne ye bhi kaha kaun be-naqab hua
Leave a Reply