shikast-e-zarf se kho.en na ham bharam apna
sharab pi ke na bahke kabhi qadam apna
ye jante hain ki me.araj-e-zindagi kya hai
vafa ki raah men karte hain sar qalam apna
ham apne dil ko maqam-e-ḳhuda samajhte hain
yahi hai der ab apna yahi haram apna
ye bal jabin-e-qaza-o-qadar pe kyuun aḳhir
bana rahe hain muqaddar jo aaj ham apna
bahut ḳhulus ‘munavar’ ke dil men paata huun
ajiib shaḳhs hai ye dost mohtaram apna
Leave a Reply