shikari raat bhar baiThe rahe unchi machanon par
musafir phir bhi lauT aane ko ja pahunche Thikanon par
kisi ne jhank kar dekha na bahar hi koi aaya
hava ne umr bhar kya kya na dastak di makanon par
ḳhud apna aks-e-ruḳh hai jo kisi ko rok le baḌh kar
vagarna aadmi kab mustaqil Thahra chaTanon par
uThae asman ke dukh bhi kis men itni himmat hai
zamin hi ek bhari hai hamen to apni janon par
darichon ne ye manzar aaj pahli baar dekha hai
ki tum jaane kahan the aur suraj tha makanon par
gharon se jab nikal aae to sab ne raah li apni
magar duniya ki nazren hain parindon ki uḌanon par
hava yuun hi to ham ko le ke peḌon tak nahin aai
hamara naam tha likkha hua gandum ke danon par
ye maana andhiyon ka haq hai sab par yurishen karna
magar ye main ki meri aankh hai ḳhasta makanon par
kuchh itne ho gae manus sannaTon se ham ‘aḳhtar’
guzarti hai giran apni sada bhi ab to kanon par
Leave a Reply