• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Baat Kahne Ke Liye Baat Banai Na Gai

Baat Kahne Ke Liye Baat Banai Na Gai

baat kahne ke liye baat bana.i na ga.i

ham se barat farebon ki saja.i na ga.i

aaj bhi daar ke taḳhte se sada aati hai

haq ki avaz sitamgar se daba.i na ga.i

dost karte hain hasad is liye teri tasvir

ma-siva dil ke kahin aur saja.i na ga.i

gham ki tasvir banane ko main jab bhi baiTha

un ki muskan ubhar aa.i bana.i na ga.i

na.i tahzib ke ḳhakon ko sanvara ham ne

ham se aḳhlaq ki tasvir bana.i na ga.i

jaane kya sujhi miri qabr par aa kar un se

gul chaḌha.e na ga.e sham.a jala.i na ga.i

main to baat aa.i ga.i kar ke chala aaya tha

ho ga.i baat para.i vo daba.i na ga.i

us ne hangamon se bahla.i hai apni duniya

vaqt se amn ki shahna.i baja.i na ga.i

‘charḳh’ dekhe jo javani ke ubharte jalve

zindagi apni gunahon se bacha.i na ga.i

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Ajab Hua Ki Mujhe Maut Se Hayat Hui

poet

Hue Hain Ja Ke Aashiq Ab To Hum Us Shokh Chanchal Ke

Mere Badan Se Kabhi Aanch Is Tarah Aae

Dekhe Tera Rasta Phul

abdul-ahad-saaz

Qaus-e-Quzah

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet