kis qadar ma.asum dukhiyare hain ye
raushni ki raat ke taare hain ye
ham ko to ginti talak aati nahin
kitna kuchh jiita hai aur haare hain ye
haa.e kaisi dopahar ka samna
pa-barahna ham hain banjare hain ye
makr hai sab paniyon pe tairna
duur rahna jalte angare hain ye
kaun jaane in ki baḳhshish hai kahan
pattharon pe roz sar maare hain ye
Leave a Reply