shikan ke saath jiite hain thakan ki dastaras men hain
haqiqat men sabhi apne badan ki dastaras men hain
jamal-e-nik.hat-e-sham-o-sahar bhi anjuman men hai
kali bhaunre gul-o-bulbul chaman ki dastaras men hain
mujhe parvaz kar ke asman men Dubna tha aur
mujhe ye yaad tha ham sab badan ki dastaras men hain
asiran-e-gham-e-duniya fana ki justuju men hain
kahin par hazrat-e-zahid kafan ki dastaras men hain
are ai husn jaata huun jahan tere hi charche hain
bata kitne dil-e-dana tuman ki dastaras men hain
Leave a Reply