shauq-e-kharash-e-khar mire dil men rah gaya
pa-e-talash pahli hi manzil men rah gaya
main zamzama-sara to chaman se gaya vale
afsana ik giroh-e-anadil men rah gaya
zanjir-e-mauj paanv men aa kar lipat gai
tufaniyon ka dhyan hi sahil men rah gaya
tasvir us ki kaise khinchi mani-e-khayal
hairan jis ki shakl-o-shamail men rah gaya
kaam apna to tamam kiya yaas ne ‘havas’
ji ishtiyaq-e-khanjar-e-qatil men rah gaya
Leave a Reply