chhoḌ ummid use ab nahin aana shayad
aana bhi hai to nahin ham ko batana shayad
sabr aaya hai hamen ashk-fishani se hi
mil hi jaa.e koi us ko bhi bahana shayad
us ne achchha hi kiya bin mujhe batla.e gaya
jaan le leta miri us ka yuun jaana shayad
un ka apna bhi jo ja.ega bina batla.e
tab is ehsas ko samjhega zamana shayad
vo ek din aa.ega dariya ke kinare ‘maham’
tab miri pyaas ko samjhega zamana shayad
Leave a Reply