dil mira ḳhugar-e-alam hua jaata hai
ab sitam bhi tira in.aam hua jaata hai
zabt-e-gham maut ka paigham hua jaata hai
dil ki baton men mira kaam hua jaata hai
nisbat-e-ḳhas to hai zulm pe yuun shaad the ham
ye bhi andaz tira aam hua jaata hai
teri maḳhmur nigahon ke tasadduq men koi
vaqif-e-raz-e-mai-o-jam hua jaata hai
tark-e-ulfat se junun mujh ko hua yuun hi sahi
husn kyuun larza-bar-andam hua jaata hai
dil jo tha saghar-e-sahba-e-sukun ai ‘naḳhshab’
markaz-e-gardish-e-ayyam hua jaata hai
Leave a Reply