dayar-e-ḳhvab se aage safar karne ka din hai
to kya ye qissa-e-jan muḳhtasar karne ka din hai
bulava aa gaya hai phir mujhe sahra-navardi ka
yahi to zindagi ko ham-safar karne ka din hai
mujhe raqs-e-junun karna paḌega shaam hone tak
mudarat-e-hujum-e-dida-tar karne ka din hai
ḳhizan ki bad-havasi us ke chehre se hai zahir
jahan ko mausam-e-gul ki ḳhabar karne ka din hai
ye ḳhashak-e-sama.at ḳhaak hona chahte hain
zaban ko aaj apni shola-gar karne ka din hai
hua hai didani manzar zamin se asman ka
qafas men arzu-e-bal-o-par karne ka din hai
Leave a Reply