lahu na ho to qalam tarjuman nahin hota
hamare daur men aansu zaban nahin hota
jahan rahega vahin raushni lutaega
kisi charagh ka apna makan nahin hota
ye kis maqam pe laai hai meri tanhai
ki mujh se aaj koi bad-guman nahin hota
bas ik nigah miri raah dekhti hoti
ye saara shahr mira mezban nahin hota
tira khayal na hota to kaun samjhata
zamin na ho to koi asman nahin hota
main us ko bhuul gaya huun ye kaun manega
kisi charagh ke bas men dhuan nahin hota
‘vasim’ sadiyon ki ankhon se dekhiye mujh ko
vo lafz huun jo kabhi dastan nahin hota
Leave a Reply