• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kuchh Nahin Hasil Sipar Ko Chir Ko Ya Talwar Tod

Kuchh Nahin Hasil Sipar Ko Chir Ko Ya Talwar Tod

poet

kuchh nahin hasil sipar ko chiir ko ya talvar tod

hai agar taqat to mere ansuon ka taar tod

teri chashm o zulf se sauda-e-ham-chashmi kiya

ai sanam badam-e-chashm-e-ahu-e-tatar tod

zulf men moti pirona mere haq men zahr hai

aaj ai mashshata-e-dandan dahan-e-yar tod

silsila gabr-o-musalman ki adavat ka mita

ai pari be-parda ho kar subha-o-zunnar tod

kibr bhi hai shirk ai zahid muvahhid ke huzur

le ke tesha khaksari ka but-e-pindar tod

ab-e-gauhar se badan ki aab hoti hai kharab

bojh hai ai naznin ye motiyon ka haar tod

sharm kab tak ai pari la haath kar iqrar-e-vasl

apne dil ko sakht kar ke rishta-e-inkar tod

sabr kab tak raah paida ho ki ai dil jaan jaae

ek takkar maar kar sar phod ya divar tod

ai zulekha naqd-e-jan ham den laga tu ganj-e-zar

qimat-e-yusuf ka ho jaae sar-e-bazar tod

vasf-e-chashm-e-yar likhne ke liye ai dast-e-shauq

chal kisi gulshan men shakh-e-nargis-e-bimar tod

chadh ke kothe par dikha de apne abru men shikan

ai pari-paikar halak-e-charkh ki talvar tod

aaina hai mane-e-nazzara-e-husn-o-jamal

ho sake to sadd-e-askandar ko ai dildar tod

mane-e-masti ko bad-masti dikhana chahiye

mohtasib ka shisha-e-dil ai bu-e-mai-khvar tod

husn-e-peshani se qasr-e-charkh ko barbad kar

lauh-e-quran se tilism-e-gumbad-e-davvar tod

naam ko ai dil na rakh asbab-e-islah-e-junun

vadi-e-vahshat men chal kar nashtar-e-har-khar tod

ankhen phod us ki jo dekhe be-ijazat munh tira

shauq se ai mast jam-e-sharbat-e-didar tod

ishq-e-zulf-e-ambar-afshan ka na tuute silsila

paanv ki zanjir ai dast-e-junun sau baar tod

sail-e-bosa hain un ko dekh chashm-e-qahr se

aankh ke dhelon se ai but khatir-e-aghyar tod

husn-e-gham men ek muddat se muqayyad hai ‘munir’

fikr-e-duniya ka hisar ai haidar-e-karrar tod

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

agha-shayar-qazalbash

Rone Se Jo Bhadas Thi dil Ki Nikal Gai

Chand Nikla Tha Pare Baam Se Pahle Pahle

Pala Hun Nafrat Ki Aandhiyon Mein Magar Mohabbat Se Munh Na moDun

abdul-hamid-adam

Hans Hans Ke Jam Jam Ko Chhalka Ke Pi Gaya

Kuchh Samajh Aaya Na Aaya Maine Socha Hai Use

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet