har taraf mauj-e-bala ki si ravani dekhi
ashk ki god men majbur kahani dekhi
ham badalte hi rahe ishq men mausam ke magar
ghar ki chaukhaT pe sada gard purani dekhi
dard ke sahn ko dushman nahin jaana ham ne
is men dilkash na.i duniya ki nishani dekhi
dasht-e-vahshat ki numa.ish ka havala de kar
shahr-e-dildar ke tevar ki javani dekhi
chand taron ke tale haath men ḳhanjar thame
muskurati si kahin ek divani dekhi
ek avaz na.i kaan men gunji us dam
jab bhi tasvir zamane ki suhani dekhi
ḳhush-libasi pe havaon ki na jaana ‘ja.afar’
us ke halqe men pareshan si raani dekhi
Leave a Reply