vo bula.en to kya tamasha ho
ham na jaa.en to kya tamasha ho
ye kinaron se khelne vaale
Duub jaa.en to kya tamasha ho
banda-parvar jo ham pe guzri hai
ham bata.en to kya tamasha ho
aaj ham bhi tiri vafaon par
muskura.en to kya tamasha ho
teri surat jo ittifaq se ham
bhuul jaa.en to kya tamasha ho
vaqt ki chand sa.aten ‘saghar’
lauT aa.en to kya tamasha ho
Leave a Reply