
Parwez Rahmani
sab ko ḳhilaf mat kar
a.ina saaf mat kar
qad yuun baḌa na hoga
laf-o-gazaf mat kar
rahne de jo hai jaisa
koi ḳhilaf mat kar
jo kah raha hai sun le
bas e’tiraf mat kar
jab janta nahin kuchh
to iḳhtilaf mat kar
sachcha.i samne hai
ab inhiraf mat kar
sab ho chuka hai sabit
ab laam qaaf mat kar
mat bojh zehn par rakh
dil ke ḳhilaf mat kar

Leave a Reply