• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Wafaen Kar Ke Jafaon Ka Gham uThae Ja

Wafaen Kar Ke Jafaon Ka Gham uThae Ja

vafa.en kar ke jafaon ka gham uTha.e ja

isi tarah se zamane ko azma.e ja

kisi men apni sifat ke siva kamal nahin

jidhar ishara-e-fitrat ho sar jhuka.e ja

vo lau rabab se nikli dhuan uTha dil se

vafa ka raag isi dhun men gunguna.e ja

nazar ke saath mohabbat badal nahin sakti

nazar badal ke mohabbat ko azma.e ja

ḳhudi-e-ishq ne jis din se khol diin ankhen

hai ansuon ka taqaza ki muskura.e ja

nahin hai gham to mohabbat ki tarbiyat naqis

havadis aa.en to narmi se pesh aa.e ja

thi ibtida men ye tadib-e-muflisi mujh ko

ghulam rah ke ghulami pe muskura.e ja

badal na raah ḳhirad ke fareb men aa kar

junun ke naqsh-e-qadam par qadam baḌha.e ja

ummid o yaas men jiina hai ishq ka maqsud

isi maqam-e-muqaddas pe tilmila.e ja

chaman men fursat o taskin hai maut ka paigham

sukun pasand na kar ashiyan bana.e ja

yahi hai lutf-e-mohabbat yahi hai kaif-e-hayat

haqiqaton ki bina par fareb khaa.e ja

vafa ka ḳhvab hai ‘ehsan’ ḳhvab-e-be-tabir

vafa.en kar ke muqaddar ko azma.e ja

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Irfan-O-Agahi Ke Saza-War Hum Hue

ahmad-shanas

Hai Wahimon Ka Tamasha Yahan Wahan dekho

Jab Dil Mein Tere Gham Ne Hasrat Ki Bana Dali

poet

Har Nafas Par Ye Guman Hai Ki KHata Ho Jaise

Aap Aate to Baat Banti Bhi

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet