be-yar shahr dil ka viran ho raha hai
dikhlai de jahan tak maidan ho raha hai
is manzil-e-jahan ke bashinde raftani hain
har ik ke haan safar ka saman ho raha hai
achchha laga hai shayad ankhon men yaar apni
aina dekh kar kuchh hairan ho raha hai
gul dekh kar chaman men tujh ko khila hi ja hai
yaani hazar ji se qurban ho raha hai
hal-e-zabun apna poshida kuchh na tha to
sunta na tha ki ye said be-jan ho raha hai
zalim idhar ki sudh le juun sham-e-subh-gahi
ek aadh dam ka ashiq mehman ho raha hai
qurban-gah-e-mohabbat vo ja hai jis men har su
dushvar jaan dena asan ho raha hai
har shab gali men us ki rote to rahte ho tum
ik roz ‘mir’ sahab tufan ho raha hai
Leave a Reply