sharab-e-shauq sen sarshar hain ham
kabhu be-khud kabhu hushiyar hain ham
do-rangi suun tiri ai sarv-e-raana
kabhu raazi kabhu bezar hain ham
tire taskhir karne men sirijan
kabhi nadan kabhi ayyar hain ham
sanam tere nayan ki aarzu men
kabhu salim kabhi bimar hain ham
‘vali’ vasl-o-judai suun sajan ki
kabhu sahra kabhu gulzar hain ham
Leave a Reply