shaq afiyat-kanar kinare ko kar ga.i
dariya ki mauj sar ko paTak kar guzar ga.i
tohmat ka sail sub.h ko uThne laga ki shab
dastak thi ek dar pe sada dar-ba-dar ga.i
gharat-gar-e-sukun thiin nava-ha-e-ḳhun-e-balb
jangal ki shaam shahr men aa.i to Dar ga.i
rota phirega raat ke raston pe mahtab
aghosh-e-arz-ḳhak to suraj se bhar ga.i
aram-e-jan tha ḳhvab-e-sukun aankh jab khuli
sail-e-fana utar gaya miTTi bikhar ga.i
na-karda kariyon ki pashemaniyan na puchh
umr-e-aziz DhunDte phiriye kidhar ga.i
tere huzur kaun sa nazrana tha qubul
dil sa guhar bhi le ke miri chashm-e-tar ga.i
divar-o-dar pe jin ke lahu bolta raha
mauj-e-fana vo saare makan Dher kar ga.i
ḳhushbu-e-marg ka na Thikana mila koi
main bhi ghubar-e-rah raha vo jidhar ga.i
ab gosh-bar-sada hue ham dosto to kya
avaz duur ki thi sama.at-safar ga.i
Leave a Reply