jo tiri shakl ko mahtab nahin kah sakte
vo miri aankh ko talab nahin kah sakte
sach men kamzor hai bina.i hamari lekin
ret ke zarre ko simab nahin kah sakte
ham hain ausaf pe me.aar parakhne vaale
is liye kavve ko surḳhab nahin kah sakte
kam se kam aap to rakh liije bharam yaari ka
vo to dushman hain na adab nahin kah sakte
tere va.adon ki zamanat nahin deta koi
thal ke sahra ko to shadab nahin kah sakte
gar tu momin hai to chehre pe kahin nuur bhi ho
ham kisi daagh ko mehrab nahin kah sakte
laakh miThe hon tire shahr ke chashme lekin
ham tire shahr ko ḳhushab nahin kah sakte
Leave a Reply