• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Junun Se Rah-E-KHirad Mein Bhi Kaam Lena Tha

Junun Se Rah-E-KHirad Mein Bhi Kaam Lena Tha

junun se rah-e-ḳhirad men bhi kaam lena tha

har ek ḳhaar se izn-e-ḳhiram lena tha

faraz-e-dar pe daman kisi ka thaam liya

junun-e-shauq ko bhi intiqam lena tha

hazar baar nata.ej se ho ke be-parva

usi ka naam liya jis ka naam lena tha

ilaj-e-tishna-labi sahl tha magar saaqi

jo dast-e-ghair men hai kab vo jaam lena tha

junun ki raah men tadbir-e-sarḳhushi ke liye

bas ek valvala-e-tez-gam lena tha

shikasta laakh thi kashti hazar tha tufan

ḳhayal men koi daman to thaam lena tha

nasim ek ravish tak pahunch ke tham si ga.i

ki na-shagufta kali ka payam lena tha

shab-e-firaq men bhi kuchh diye chamakne lagen

nigah-e-shauq se itna to kaam lena tha

hazar baar tiri bazm men hua mahsus

liya jo ghair ne mujh ko vo jaam lena tha

main ek jur.a-e-masti pe sulh kyuun karta

mujhe to jaam men mah-e-tamam lena tha

ghazab hua ki in ankhon men ashk bhar aa.e

nigah-e-yas se kuchh aur kaam lena tha

kisi ne aag laga.i ho koi mujrim ho

hamen to apne hi sar ittiham lena tha

nigah-e-shoḳh yahi fat.h aur kuchh hoti

jo gir rahe the unhen baḌh ke thaam lena tha

ye bazm-e-ḳhas ka aish-e-do-roza kya hoga

gham-e-avam se aish-e-davam lena tha

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Tum Se Multaji Ho Kar Kya Bataen Kya Paya

firaq-gorakhpuri

Nikhre Badan Ka Muskurana Hai Hai

kirdar hai aur apni kahani se juDa hai

Mera Afsana Juda Teri Kahani Aur Hai

abu-mohammad-sahar

Kho Ke dekha Tha Pa Ke dekh Liya

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet