• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Nind Zara Si Jab Bhi Aane Lagti Hai

Nind Zara Si Jab Bhi Aane Lagti Hai

poet

niind zara si jab bhi aane lagti hai

yaad tumhari shor machane lagti hai

saath milate hain avaz parinde bhi

hava mujhe jab giit sunane lagti hai

dekh ke khidki se barish ko pagal ladki

aaj bhi do cup chaae banane lagti hai

saanp mujhe ab aksar uupar khenchta hai

sidhi jab bhi mujhe girane lagti hai

kamre men zanjir se jakdi tanhai

daain ban ke mujh ko khane lagti hai

pichhle chehron ko dafna ke mitti men

aankh naya ik aks ugane lagti hai

kachche pakke aam saham se jaate hain

jab bhi chidiya shakh hilane lagti hai

us ki aankh men ankhen daal ke dekhna tum

duniya kaise aankh churane lagti hai

haath men le kar suraj ka naranji album

shaam vo photo kise dikhane lagti hai

darvaze pe aan ruke barati tab

dulhan ik tasvir jalane lagti hai

mujh ko paas bitha ke maan ki khamoshi

saare dil ke raaz batane lagti hai

mere anchal pe sat-rangi kirnon se

raushni koi phuul banane lagti hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Hua Hai Har Tarah Pamal Qalb-E-Na-Tawan Mera

Zahe Qismat Agar Tumko Hamara Dil Pasand Aaya

Hasrat-E-Did Se Mamlu Dil-E-Shaidai Hai

Ye Kis Maqam Pe Thahra Hai Karwan-E-Wafa

Bahut Hasin Thi Kabhi Ye Duniya Mere Mutabiq

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet