samajhne vaala mira martaba samajhta hai
so farq paḌta nahin kaun kya samajhta hai
ye teri charagari meri jaan le legi
na tu mujhe na mira mas.ala samajhta hai
main apni maut ko ab zindagi samajhta huun
main kyuun samajhta huun mera ḳhuda samajhta hai
main ab kahani se bahar nikalna chahta huun
kahani-kar mira mudda.a samajhta hai
vo is liye bhi palaT kar kabhi na aa.ega
vo mera haal mira faisla samajhta hai
main kah raha huun mujhe thoḌa soch kar samjho
ki ye lage mujhe koi ḳhala samajhta hai
zamana kuchh bhi samajhta nahin hai sach hai ye
isi liye to tujhe bhi mira samajhta hai
Leave a Reply