kaise kahin ki jaan se pyara nahin raha
ye aur baat ab vo hamara nahin raha
aansu tire bhi khushk hue aur mere bhi
nam ab kisi nadi ka kinara nahin raha
kuchh din tumhare laut ke aane ki aas thi
ab is ummid ka bhi sahara nahin raha
raste mah-o-nujum ke tabdil ho gae
in khidkiyon men ek bhi taara nahin raha
samjhe the dusron se bahut mukhtalif tujhe
kya maan len ki tu bhi hamara nahin raha
hathon pe bujh gai hai muqaddar ki kahkashan
ya raakh ho gaya vo sitara nahin raha
tum eatibar us ke liye kyuun udaas ho
ik shakhs jo kabhi bhi tumhara nahin raha