hui dil TuTne par is tarah dil se fughan paida
ki jaise sham.a ke bujhne se hota hai dhuan paida
raha sabit-qadam yuun hi agar azm-e-safar apna
karegi ḳhud rah-e-dushvar hi asaniyan paida
har ik ta.amir ḳhud apni tabahi saath laati hai
na girti barq gar hoti na shaḳh-e-ashiyan paida
miri ḳhvahish ki ik sajda miTa de nam-e-peshani
tiri ḳhvahish ho peshani pe sajdon ka nishan paida
vo jin ki maut par rote hain barson jam-o-paimana
ab aise bada-kash hote hain ai saaqi kahan paida
zarurat kya karen ham justaju-e-astan ai dil
salamat zauq-e-sajda aap hoga astan paida
nazar men jin ki rangini tabi.at men hai ra.ana.i
vo kar lete hain ‘fazil’ dasht men bhi gulistan paida
Leave a Reply