kya main jugnu ko aftab karun
ya charaghon ka intiḳhab karun
dil ye kahta hai inqalab karun
pesh us ko main ik gulab karun
vaqt ne kya nahin diya mujh ko
be-sabab vaqt kyuun ḳharab karun
sar paTak kar ab us ke kuche men
apni taqdir se hisab karun
main karun phir koi saval naya
aur phir us ko la-javab karun
zindagi ne to haar maan hi li
kam-se-kam maut kamyab karun
sab ke chehre pe ek chehra hai
kis ka chehra main be-naqab karun
Leave a Reply