• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Wada-E-Wasl Aur Wo Kuchh Baat Hai

Wada-E-Wasl Aur Wo Kuchh Baat Hai

ameer-minai

vaada-e-vasl aur vo kuchh baat hai

ho na ho is men bhi koi ghaat hai

khalq nahaq darpai-e-isbat hai

hai dahan us ka kahan ik baat hai

bosa-e-chah-e-zankhdan ghair len

duub marne ki ye ai dil baat hai

ghar se nikle ho nihatte vaqt-e-qatl

ye bhi bahr-e-qatl-e-ashiq ghaat hai

main ne itna hi kaha banvao khat

ye bigadne ki bhala kya baat hai

baad muddat bakht jaage hain mire

baithe hain sone ko saari raat hai

kya karun vasf-e-butan-e-khud-pasand

in se badh kar bas khuda ki zaat hai

baton baton men jo main kuchh kah gaya

hans ke farmane lage kya baat hai

harf-e-matlab saaf kah sakta nahin

hai adab maane ki pahli raat hai

mujh se ho izhar-e-ulfat vah-va

aap ke farmane ki ye baat hai

ro rahe hain ham mila de lab se lab

mai-kashi ho saqiya barsat hai

zach hai teri chaal se raftar-e-charkh

mohr-e-rukh se bazi-e-mah maat hai

kaisi katti hai siyah-bakhti men umr

raat se din din se bad-tar raat hai

chhedta hai dil ko kya ai dard-e-hijr

khud giraftar-e-hazar-afat hai

ai ghani de sim-o-zar vaqt-e-bala

mal-e-duniya jaan ki khairat hai

gar jagah dil men nahin phir is se kya

ye doshambe ki ye budh ki raat hai

saaf kah de tu yahan aaya na kar

yaar ye sau baat ki ik baat hai

lakht-e-dil hain mere khane ko ‘amir’

bas inhin tukdon pe ab auqat hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

ishrat-afreen

dil Hai Ya Mele Mein Khoya Hua Bachcha Koi

Jo Nazar Aata Nahin Diwar Mein Dar Aur Hai

Diwanon Ke Pas Aae Hain Apni Si Samjhane Log

poet

Aaj Mehndi Lagae Baithe Hain

ada-jafarey

Har Ek daricha Kiran Kiran Hai Jahan Se Guzre Jidhar Gae Hain

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet