be-khayali men yunhi bas ik irada kar liya
apne dil ke shauq ko had se ziyada kar liya
jante the donon ham us ko nibha sakte nahin
us ne vaada kar liya main ne bhi vaada kar liya
ghair se nafrat jo pa li kharch khud par ho gai
jitne ham the ham ne khud ko us se aadha kar liya
shaam ke rangon men rakh kar saaf paani ka gilas
ab-e-sada ko harif-e-rang-e-bada kar liya
hijraton ka khauf tha ya pur-kashish kohna maqam
kya tha jis ko ham ne khud divar-e-jada kar liya
ek aisa shakhs banta ja raha huun main ‘munir’
jis ne khud par band husn o jaam o baada kar liya
Leave a Reply